Hello dosto welcome to my world Techno Agaaz

Dosto aaj is post me mai apko btauga ki kaise aap pta lga sakte hain ki aapka mobile hack hua hai ya nhi.


Mobile hack or not hack
Mobile hacked



Friends Aap logo ko to pata hi hai kaise-kaise anonymous hackers ghum rhe hai market me. Har roz  cyber security report me dekhte rahte hai ki aaj kal kitni hacking ho rahi hai. Spy applications aur malware ke threw. 

Hackers kya karte hai apne victim ke mobile me spy app ya malware install kar dete hai aur ye aise software hote hai jo hide ho jate hai aur asaani se uninstall bhi nhi kar sakte.

To dosto aaj iss post me mai apko yahi btauga ki kaise aap pta lga sakte hai ki apka mobile hack huaa hai ya nhi.

Dosto is bat ka pta lagane ke liye ki apka mobile hack hua hai ya nhi. Ek chhote se application ko download karna padega jo apko play store pe asaani se mil jayega "free spyware and malware removal" Jab aap ye search karege to apko application mil jayega aur usko downlod kar lena.

Download karne ke bad install karna hai.
Fir usko open karna jab open karege to apko option milega Start Scanning ka.

Start Scanning pe click kar dege to kuch time lega scanning ka aur scanning complete hone ke bad apko show ho jayega agar apke mobile me koyi spyware ya malware hoga.

Simply aap use waha se remove kar skte hain. 
Dosto iss tarah se aap pta laga sakte hain. Ki apka mobile hack hua hai ya nhi.

Aur Iss tarah aap apne mobile se spyware aur malware ko remove kr sakte hain.

Note: - dosto Iss application ko apko apne mobile phone se Uninstall nhi karna hai. Is application ko hamesha ke liye apne mobile me rakhna hai. Jis se future me jab kabhi bhi apke mobile me koyi spyware ya malware ata hai to iss application se aap usko remove kar sakege.

Post apke liye helpful huyi rahi ho to post ko apne dosto ko bhi share kare.
Thank you.