Disable any application



Welcome to my world techno agaaz friends aaj post me main apko kuch aisi trick ke bare batane ja rha hu jo apke liye bahut hi useful hogi.
Dosto aaj is post me main apko btaunga ki aap kaise apne mobile se uninstall huye application ko permanently disable kar sakte hain proper way me.
How to disable application
Disable any application






Dosto aapne jab se mobile use karna start kiya hai tabse lekr aaj tak aapne pta nhi kitne applications ko download kiya hoga apne mobile me ye apko bhi nhi pta hoga ki kitne download kiye hain. 

Aap un applications ko download kar k uninstall bhi kar dete hain lekin kya aapko pta hai. Woh application fir bhi apke android mobile se connect rahta hai. Aapko pta bhi nhi chalta hai aur wo application aapke data ko store karta rahta hai apne server pe. 
Disable application in proper way
Disable application

Mobile se application ko uninstall karne ka sahi tarika

To aaj is post me main apko yahi btauga ki kaise aap us application ko proper way me hamesa ke liye apne mobile se disable kar sakte hain.
Apko kya karna hai apko apne data ko save karne ke liye is application ko kaha se disable karna hai janne ke liye last tak padhiye step by step.
Sabse pahle aapko apne mobile ki settings me aana hai 
Scroll down karege niche ki taraf jayege to 
Yahan apko Google  ke option me jana hai

Yahan apko bahut se options milege lekin apko Account Services me jana hai. 

Yahan aapko 5 options milege lekin aapko pahle option connected Apps me jaana hai 

Yahan aapko Sare application show hoge jo apki Email Id se connect hoge 

Aapko jis application pe doubt hai ya jo application apke mobile me install nhi hai. Us application pe click karna hai

Click karne ke bad apko ek option show hoga Disconnect ka apko Disconnect pe click kar ke us application ko Disconnect kar sakte hain. Aur apni personal information ko save kar sakte hain. 

Dosto ye post apke liye helpful huyi ho to apne dosto ke sath bhi share kare.

Thank you....