WhatsApp status ko apne mobile me save kaise kare bina kisi Application ke??
Hello friends welcome to my world techno agaaz.Jii han dosto aapne sahi apne heading ko sahi padha ab aap bina kisi third party application ke binaa hi apne friend ke whatsApp status ko download kar sakege kisi bhi third party application ke bina.
![]() |
Download whatsApp status without any app |
WhatsApp:-
Friends jaisa ki aap sabhi jante hain ki WhatsApp ek social media application hai. Jo friends humari contact list me add hote hain sirf wahi humare status dekh sakte hain. Aur hum log bhi unhi ka status dekh sakte hain.
Lekin hum apne friends ka status official WhatsApp se download nhi kar sakte hain. Iske liye aapko kisi third party application ki help leni padti hai.
Tips and Tricks:-
Friends aap sabhi chahte hai apne friend ka WhatsApp status download karna. Kya hota hai kabhi-kabhi aap WhatsApp status dekh rahe hote hain. Aur apko koyi status pasand aa jata hai. Aur ab aap usko download karna chahte hain.
Jis wajah se aap kisi bhi app store ya kisi website se third party application ko download kar lete hain. Jiski wajah se aapke mobile ki RAM full ho jati hai. Aur apka Mobile Hang hone lagta hai.
Aaj aap ko aisi unique trick ke bare me btauga jis se aap WhatsApp status bhi download kar lege. Aur apko koyi bhi third-party application bhi nhi download karna padega.
Isse aapko fayeda kya kya honge-
Apka mobile Hang hone se bachega.
Mobile ki storage full hone se bachegi.
Mobile ki RAM nhi full hogi.
Mobile slow nhi chalega.
Mobile fast se chalega.
Ye trick aapko pasand aye to apne friends ke sath bhi Share karna.
Start karte hain step by step -
Aapko kya karna hai. Apne mobile ke File Manager ko open karna hai.
- Yaha aapko three dots ya three lines dikhegi corner me. Uspe Click karna hai.
- Settings ka Option milega setting me me jana hai.
- Settings pe click karege to apko option milega show hidden file.
- Show hidden File ko enable kar dena hai.
- Ab aapko waha se back aana hai. Back ane ke bad apko apne File manager me aa jana hai.
- Yha apko WhatsApp Folder ko open karna hai. WhatsApp folder me apko "media" ka option milega.
- Media folder ko open karege jana hai waha aapko option milega "status" Ka
- Status ke option milega to aapko waha wo sare status milege jo aapne apne official whatsApp me view kiye the.
- Apko jo status pasand aya tha aur jisko aap save karna chahte the. Us status pe long press kijiye
- Jab aap long press karege to aapko bahut se option milege isi me Move and Copy ka bhi option milega Aur ab aap usko copy kr ke ya move kar ke apne mobile me save kar sakte hain aasani se.
Dosto ye post apke liye helpfull hui hai to apne friends ko bhi share kare. Agar aapko koyi doubt ya kahi problem aa rhi hai to comment kar ke puch sakte hain.
Thank you
#whatsApp
#whatsApp_trick
0 Comments
If you have any problem let me know