Mobile ki battery Backup kaise badhaye. Jisse battery pure din chale. 

 





Dosto aaj is post me main apko bataunga ki
Increase battery backup
Increase battery backup 

kaise aap apne purane mobile ki battery repair kar ke apne mobile ki battery ko new jaisa kar sakte hain.




Aap log hamesha mujhse puchte rahte hain ki Bhai mobile ki battery bahut kam chalti hai. Pahle bahut chalti thi lekin ab nhi chalti hai. To dosto ab apko tension lene ki jarurat nhi hai aaj apka bhai apko batayega ki apko apne mobile ki battery ka backup kaise badhana hai.

Dosto jab aap new mobile lete hain to apki battery 1-2 din tak chal jati hai. Lekin jaise jaise aapka mobile purana hota jata hai waise - waise apke mobile ki battery bhi kam chalne lagti hai. 1-2 hour me hi dead ho jati hai. Aisa kyun...??
Restore battery backup
Restore battery backup 


Aisa isliye hota hai dosto kyunki hamari battery me jo cells hote hain wo down ho jate hain. Jaise hamari watch me cell battery hoti hai aur wo kuch mahine bad khatam ho jati hai unke cell down ho jate hain. 


Waise hi dosto hamare mobile ki battery me bhi cell hoti hain. Jo down ho jati hain. Dosto ab jo new android mobile aa rhe hain market me unme non-removable battery ati hai unme to hum battery change nhi kar sakte hain aise. Ha ek bar keypad mobile me battery change bhi kar le lekin android mobile to battery nikal bhi nhi sakte to isko change kaise kar sakte hain.

To dosto android mobile ki battery ke jo cell kharab ho jate hain unko repair kar ke hum apne mobile ki battery backup ko badha sakte hain.

Ab aap soch rahe hoge ki akhir mobile ki battery ko repair kaise kar sakte hain. 
To dosto aapko tension lene ki jarurat nhi hai aaj aapka bhai apko batayega ki kaise aap apne mobile ki battery ko repair kar sakte hain. 

Dosto mobile ki battery ko repair karne ke liye aapko ek application ki help leni padegi. Ji han dosto application ki help kyun ki mobile ki battery ko hath se to repair kar nhi sakte isliye isko application ki help se hi repair kiya ja sakta hai.

Battery repair hone ke bad battery fir pahle jaisi hi 1-2 din tak  backup dene lagegi.

Dosto battery ko repair karne ke liye aapko ek application ki jarurat padegi application Play Store pe available hai. Apko Play store se bahut hi asaani se mil jayega.
Apko apne Play store me search karna hai "Battery repair life pro"  Jab aap ye search karege to jo application search result me pahle number pe aapke samne ayega usi application ko apko Download kar lena hai.

Download karne ke bad jab use aap pahle bar open kare ge to apko simple sa interface milega. 

Apko yahan ek option milega 'Tap to enter' 
Jab aap ispe click karege to ye kuch time apka loading hone me lega.

Dosto ye free ka application hai isliye kuch ad bhi ayegi apko simply back button se cut kar dena hai.

Uske bad apke samne bahut si cell aa jaegi aur niche aapko cell ko category bhi dikhegi.

Uske niche aapko Start ka button dikhega aapko start ke button pe click kar dena hai.
Ye application aapki battery ko scan karega aur scan hone me apka thoda sa time lega.
Scan hone ke bad aapko apke mobile ki battery cell jo bhi problem hogi wo detect kar lega.
Aur aapko show kar dega.
Recover battery backup
Recover battery backup 


Fir aapko ek option milega fix problem ka apko fix problem now pe click kar dena aur aap dekhege ki ye application aapke mobile ki battery ko repair kar dega.
Fir apko ek pop - up messege ayega. Aur apki sari battery ki cell repair ho jayegi.
Dosto iss application ko apko apne mobile me hamesha ke liye rakhna hai aur har hafte same isi tarah apne mobile ki battery ko repair karte rahna. 
Jis se apke mobile ki battery me koyi problem nhi hogi aur aapki battery jaldi khrab nhi hogi.
Dosto post apko pasand ayi ho aur apke liye ye post helpful huyi ho to apne dosto ko bhi share kare. 
Dosto agar aapko koyi problem aa rhi ho to aap mujhe comment me bata sakte hain. Mai apki help jarur karunga.
Chlo dosto milte hain apko next post me tab tak ke liye bye - bye take care.

Thank
You....