how to disable talk back permanently


Disable Talk back mode
Disable Talk back mode



Aaj iss post me main apko bataunga ki kaise aap apne mobile phone me TALK BACK mode ko kaise disable karna hai.

Hello dosto welcome to my world...

Dosto jab kabhi galti se aap talk back mode ko enable kar dete hain ya kabhi kabhi chhota bhai ya aur koyi aapka mobile use karta hai to us se bhi galti se talk back mode enable ho jata hai. 

Jab aapke mobile me talk back enable ho jata hai to aap normally apna mobile nhi chala pate hain. Aur aapko pata bhi nhi hota hai ki isko kaise disable kare. Disable karne ke liye aap market me jate hain kisi shopkeeper ke pass.

Aur woh aapka mobile reset kar deta hai jis se aapke mobile ka sara internal Data aur application ka data Delete ho jata hai. Aur aapse achche khase paise bhi le leta hai shopkeeper. 

Aapka bahut mood off ho jata hai. Kyunki aapke mobile se sara delete ho jata hai.

To dosto ab aapko tension lene ki jarurat nhi hai aaj is post me aapka bhai aapko batayega ki kaise aap ghar pe hi apne mobile se talk back mode ko disable kar sakte hain bahut hi aasani se. Ab aapko kahi bhi paisa kharch karne ki jarurat nhi hai.

Talk back mode kya hai:- 


Actually friends talk back mode specially blind person ke liye ye function har mobile device ke liye banaya gya hai. Jab koyi person kisi bhi option pe click karta hai to wahan pe jo bhi likha hota hai wo mobile asistant read kar ke batata hai.
 I hope ab apko samajh aa gya hoga ki apke mobile me talk back ka kya kam hota hai aur ye har mobile phone me by default kyun hota hai 


Talk back mode mobile me enable hone par mobile ko use kaise kare:- 


Mobile ko use karne ke liye apko 2 baato ka khyal rakhna hoga-
                                     1. jab aapke mobile talk back mode enable ho jata hai to aap apne mobile ko ek finger se nhi use kar sakte jaise aap roz use karte hain.

2. Talk back enable hone ke bad apko apne mobile ko chalane ke liye 2 finger ka use karna padega.


Talk back mode disable kaise kare:- 


Dosto main apko jo jo steps bata rha hu wo sari steps aapko follow karni hai ek single bhi step miss mat karna agar aap ek single bhi step miss karte hain to aap talk back disable nhi kar payege.

Friends talk back ko disable karne ke liye 2 tarike hain- 


1. Shortcut key:- 

Dosto ab aap soch rahe hoge ki mobile ki settings me jaye bina shortcut key se kaise off kar sakte hain. To dosto aapko tension lene ki jarurat nhi hai apka bhai aapko batayega wo shortcut key. 

Apko apne mobile ki Valume+ button and Valume - button ko 3 second tak continue hold kiye rahna hai. Is tarah se aap shortcut key se apne mobile se talk back mode hata sakte hain.

Valume + and Valume - button
Valume + and Valume - button



2. Settings se:- 

Aapko yahan ek bat ka khas khyal rakhna hai ki aapko do finger ko use karna hai apne mobile ko chalane ke liye. Aur aap jis bhi function ko open karna chahte hai uspe 2 times click karna hoga.
Sabse pahle aapko apne mobile ki settings me jana hai.

Settings me jane ke bad aapko Accessibility me jaana hai.

Uske bad yahan apko Talk Back ka option milega ab apko talk  back ke samne jo toggle hoga uspe two times click karna hai.

Talk back mode off
Talk back mode off



Ab aap dekhege ki aapka talk back mode hat chuka hai. To dosto is tarah se aap apne mobile se talk back mode ko disable kar sakte hain bilkul free me aur bahut hi aasani se.

Dosto post apke liye helpful huyi ho aur apko agar apko pasand ayi ho to apne dosto ko bhi social media pe share kare. Milte hain apko aisi hi interesting post ke sath tab tak ke liye bye bye take care.

Thank
You.