Aaj is Post me main apko bataunga ki kaise aap apne Instagram account ko delete kar sakte hain.
Hello dosto welcome to world....
Dosto jaisa ki aap sabhi log jaante hain ki Instagram ek most popular social media plateform hai. Jahan kisi bhi country ke insaan se hum bat kar sakte hain. Live stream kar sakte hain, videos, photos, status post kar sakte hain.
![]() |
Disable Instagram Account |
Instagram top social media plateform me count kiya jata hai. Hum apne mobile application ya laptop computer me Instagram se hum kisi ko bhi photos send kar sakte hain videos send kar sakte hain.
Kabhi kabhi aisa koyi reason hota hai ki humko apna Instagram account temporary disable karna padta hai. Kabhi aisa hota hai ki humare exam aa jate hain aur tab uski wajah se hum apne Instagram account ko deactivate kar dete hain jis se humko study karne me disturb na ho jiski wajah se hum ko Instagram delete karna pad jata hai.
Instagram permanent delete hota hai ya nhi
Dekhiye dosto jaisa ki hum logo apne mobile se koyi bhi photo ya video delete karte hain to wo humare mobile se instant delete ho jati hai.
Same waise hi jaise hum apne whatsApp account ko delete karte hain to wo bhi turant delete ho jata hai. WhatsApp account us time instant delete to ho jata hai jis time hum delete karte hain. Lekin whatsApp ke account ko delete karne ke bad hum again usi number se WhatsApp account create kar skate hain.
Lekin Instagram account aur facebook me aisa nhi hota hai ki ye photo aur video ki tarah delete ho jaye. Isko permanant delete hone ke liye kuch time hota hai agar us time tak aapne apne account ko ek bar bhi open nhi kiye to aapka Instagram permanently delete ho jayega. Lekin dosto jaisa ki maine aapko pahle bhi bataya ki har ki kam processor hota hai jiske according hi sab hota hai.
Suggession
Dosto apne Instagram account ko delete karne ke liye main apko jo jo steps bata rha hun woh sari steps aapko follow karni hai. Ek single step bhi miss mat karna nhi to apka Instagram account disable (Delete) nhi hoga.
Instagram Account Kaise Delete kare
Instagram account ko Delete karne ke liye sabse pahle apne mobile me Chrome Browser ko open kar lijiye. Aap chrome browser ki jagah koyi bhi browser le sakte hain.
Uske bad apko apna Instagram account login kar lena hai.
Important Information:-
Aap apne Instagram mobile application se apne Account ko Delete nhi kar sakte isiliye aapko kisi ek browser ki jarurat padegi.
Ab apna Instagram Account login karne ke bad aap apni profile icon pe click karege.
![]() |
Instagram dp |
Fir apki corner me Settings ka icon dikhega uspe click karna.
![]() |
Account settings |
Jab aap Settings ke icon pe click karege to aapko Edit Profile ka option milega uspe click karna hai.
![]() |
Instagram edit profile |
Edit Profile pe click karne ke bad aap niche ki taraf jayege to apko yahan ek option milega Temporarily Disable My Account ka.
![]() |
Disable instagram account |
Ispar click karege click karne ke bad jab aap niche ki taraf jayege to apko ek Reason select karne ka option milega ki aap apna account kyun Disable karna chahte hain.
![]() |
Give a reason |
Yahan se aap koyi bhi ek reason select kar lijiye.
Reason Select karne ke bad aapko apne account ka Password enter karna padega.
Password enter karne ke bad Temporarily Disable Account pe click kar dege.
![]() |
Disable account |
Iske bad Disable confirmation karna hoga jab confirm kar dege to aapka Instagram Account ek hafte me Disable ho jayega.
To is tarah se aap apne Instagram account ko deactivate kar sakte hain bahut hi asaani se.
Dosto aapko ye post pasand ayi ho to apne dosto ko social media pe share kare. Milte hai apko aisi hi ek aur post ke sath tab tak ke liye Good Bye.
Thank
You.
0 Comments
If you have any problem let me know