Computer chalana kaise sikhe online?
learn computer easily in hindi |
computer tutorial in hindi for beginners.
friends Agar aap computer sikhna chahte hain aur agar aap beginners hain to ye post apke liye hai aaj hum apko computer ko operate karna sikhayege. Aaj is post me aap computer ke basic ke bare me janege.
Dosto main apka bhai Agaaj khan aur aaj is post me main apko computer ke kuch basics ke bare me bat karege jo aapko computer ko sikhne me help karegi. Agar aap computer ke bare me janna chahte hain to is post ko starting se lekar end tak bahut hi dhyan se padhna hai.
Friends agar aap ek computer user hain to apko computer ke bare me achcha khasa knowledge hoga. Lekin Agar abhi tak aapne computer computer ka use nhi kiya hai to is digital word aur internet ke jamane computer sikhna bahut hi jaruri ho gya hai jis se aapko computer ke feature aur uske useful ke bare me jankari mil sake.
Computer kaise sikhe?? How to operate computer operating system?
Agar abhi tak aapne computer ka use nhi kiya hai matlab agar aap beginner hain to sabse pahle apko computer ko on/off karna, kisi software ko open karna, kisi bhi software ko uninstall karna etc. Basic chize aani chahiye. Dosto agar aap computer ke basic ke bare me sikhna chahte hain ya computer ko advance level par sikhna chahte hain to aap free me technoagaaz site se ya fir kisi dusri website se sikh sakte hain. Isiliye agar aap computer sikhna chahte hain to aap online ya offline classes bhi join kar sakte hain.
Computer sikhna jaruri kyun hai?
Dosto aaj ke zamane me technology badhti ja rahi hai aisi situation me machine humare bahut se kamo me use ki ja rhi hain. Jin kamo ko bahut time me kar pate the usi kam ko hum machine ki help se bahut kam time me aur kam mehnat me kar lete hain.
computer tutorial in hindi |
Aur yahi main reason hai ki computer ka use companies, factories, offices, aur gharo ke kam karne me mostly use kiya jane laga hai.
Computer aaj insano ki life ka main part chuka hai. Aur ye logo ke rozgar ka jariya bhi hai.
Aaj computer ka use badi se badi company, school, colleges, chhoti si chhoti shop me bhi computer badi asaani se dekhne ko mil jayega.
Agar humko computer ka achcha khasa knowledge hoga to hum kisi bhi achchi field me job kar sakte hain. Apni personal life me bhi help hoti hai is se. Aap computer sikh ke Data ko manage kar sakte hain.
★ main reason computer sikhne ka ye bhi hai ki ye rozgar ka sadhan ban chuke hai bahut si company, computer center me computer expert ki need hoti hai. Agar apke pas computer ka achcha khasa knowledge hai to aap yahan job bhi kar sakte hain.
★ Agar apke pas programming language c++, java, css, html, coding etc. Programming language ki theory me knowledge hai to aap apne is knowledge se kisi bhi it company me job karke ya logo sikha ke achcha khasa paisa earn kar sakte hain.
Main apko recommend karunga ki apko computer ka knowledge lena chahiye aur computer ko sikhna chahiye agar aap achchi lifestyle zina chahte hain.
Computer ki value kya hai aap is tarah se bhi samjh sakte hain ki jis tarah aaj English sikhna important ho gyi hai usi tarah computer bhi sikhna important hai.
Online computer kaise sikhe?
Dosto agar aap computer ko sikhne me interest rakhte hain. Agar apko English nhi bhi ati hai to bhi aap computer expert ban sakte hain. Aaj internet par computer sikhne ke tutorial dhero Sare mil jayege. Internet ki help se aap online computer ke basic se lekar advance level tak Computer sikh sakte hain.
computer basic knowledge in hindi |
Aap youTube ka use songs ko sunne aur movie ko dekhne me karte hoge lekin kya aap jante hain? Aaj youTube par lakho video tutorial computer sikhne se related Hindi language me available hain. Aapko bas computer dikhane wale channel ko search karna hai aur us channel ki computer se related sari video ko dhyan se dekhna hai fir uski practice karni hai.
Is tarah agar aap daily computer se related tutorial dekhte hain aur unki practice karte hain to kuch month bad aap dekhege ki aap computer ke bare me kafi kuch sikh chuke hoge.
Yahan main apko computer sikhane wale kuch youTubers ke youTube channel ka name bata raha hun. Yahan se bhi aap computer sikh sakte hain easy way me.
1. My E-lesson
2. Technology gyan
3. My big guide
4. Subject go
Aap inme se kisi bhi youtube channel pe jake videos ko dekh kar computer sikh sakte hain. Agar aap youTube par search karte waqt kisi aur ka video apke liye helpful hota hai to ap us channel ko follow kar ke bhi computer sikh sakte hain.
Iske alawa aap google par bhi computer se related bahut sari jankari aur theory ki help se Hindi aur English language me easily sikh sakte hain. Iska ek sabse achcha example apki techno agaaz website hai. Jahan par apko computer se related time to time tips and tricks dekhne ko milti rahti hai.
Offline Computer Kaise Sikhe?
Dosto agar aap offline computer sikhna chahte hain to aapke nearest location me bahut se computer center mil jayege jaha se aap offline classes join kar ke computer ke basic aur advance level pe sikh sakte hain. Lekin agar aap offline computer class join karege kisi bhi institute se to aapko waha fee deni padegi. Ab aapni choice ke according aapko decide kar sakte hain ki aapko online class join karni hai ya offline in dono me se kisi bhi option ko choose kar sakte hain.
offline computer class |
I hope ab aapko ye jankari to mil gyi hogi ki computer ko kaise sikhe, kahan se sikhe, online class join kare ya offline join kare.
Dosto ab aage badhte hain aur kuch basic level course aur advance level ke course ke bare me bat karte hain. Agar aap ye course karte hain to aapko job me kafi achchi salary in course ki help se mil payegi.
Best Professional level Courses in Hindi :-
DTP:-
DTP course ka full name Desk Publishing Course hota hai. Agar course ke baare me aapko short ms bataye to iss course ko karne ke bad Banners, Card, Book, Book cover, Manual etc. Bnana sikh jayege.
Is course ko karne ke bad aap Graphics ya Image Editing ki field me job kar sakte hain. And present time me Publication house me DTP ki requirement hoti hai.
Basic Computer Course :-
Dosto agar aap 12th class me hai to aap Basic computer course kar sakte hain. Yah course short period me complete ho jata hai. Isliye ise aap kam time me kar sakte hain. Aur is course ko karne ke bad jis compay me basic computer ki requirement hoti hai wahan job kar sakte hain.
Cyber Security Course :-
Dosto aaj technical world me mostly cyber security attack ke bare me news milti hi rahti hain. Dosto aaj kal online shopping karne ke liye Net banking, E-wallet ka use ho raha hai isiliye bahut se fraud ho rahe hain zra si laparwahi aapke account se sara amount lut liya jata hai.
Cyber security ka course karne ke bad aap cyber security me job kar sakte hain. Aaj kl is course ki market me bahut hi demand hain. Aapke liye course bhi best rahega.
Programming Language :-
Dosto jaisa ki aapko pata hai computer ki language ko hi Programming Language kahte hain. Agar aap computer me use hone wali language jaise- JAVA, HTML, CSS, CODING, PYTHON, JAVA SCRIPTURE, ASP, RUBY, PHP, NET, PERL, SQL etc. Programming language sikhne ke bad aap software developer ya web developer ban kar kisi software company me self employed ki tarah job kar sakte hain.
Programming language |
To dosto ye kuch computer ke main courses the jinhe aap 12th passed out hone ke bad kar sakte hain. Aur ek professional job kar sakte hain.
Iske alawa aap Animation aur Multimedia course bhi kar sakte hai isme bhi bahut demand hai aap yaha bhi job kar sakte hain.
Conclusion:-
Dosto is post me maine computer ko kaise operate karne ke basic ke bare me aur kuch main computer courses ke bare me explain kiya hai ummid karta hu ki ye post apke liye helpful huyi hogi. Ki computer Kaise sikhe?, computer kaise chalaye?, computer sikhna jaruri kyun hai?, computer se kya fayde hain?, computer sikhne ke bad kaisi job milegi? In Sare swal ka jwab apko aaj mil gya hoga.
Agar Computer se related ya is post se related koyi swal hai to aap mujhse comment box me puch sakte hain.
0 Comments
If you have any problem let me know