How to recover data from android phone after hard reset

 Hello guys, 

Welcome to my world...



Android Mobile ko Hard Reset karne ke bad Delete huye Data ko Recover kaise kare.

How to recover data from android after hard reset
Recover Data





Topic-

Aaj is post me main apko bataunga ki kaise aap apne Mobile se Delete huye Data ko kaise Recover kar sakte hain.

Dosto aap me se bahut log aise hote hain jo apne Mobile ko Hard Reset kar dete hain. Hard reset karne se unka internal storage jitna Data hota ho bhi sara delete ho jata hai.

Fir aap YouTube Pe Google pe search karte hain ki kaise apne Data ko backup kare.

Ab apko kahi jane ki jarurt nhi apka bhai apko batayega ki kaise aap mobile ko hard reset karne ke bad apna delete hua Data kaise recover kar payege.

Recover data
Recover data after hard reset


Bahut se hamare bhai log puchte rahte hain ki bhai maine apne mobile ko Hard Reset kiya to mere mobile me jo photo, video, Apps, message, contact Number, sab delete ho gya hai. Kya ab woh sab kuch backup ho sakta hai. Ha mere bhai wo sara Data apka backup ho jayega. Apko main jo jo steps bataunga wo sari steps apko Follow karni hain.

To aj ki iss post me main apko logo ko bhi bataunga ki Sara Data Backup kaise karna hai mere bhai apko market jane ki jarurat nhi hai, apko koyi bhi paisa kharch karne ki jarurat nhi hai.

Maine ye Blogg isiliye banaya hai ki main aap jaise bhayio ki help kar saku. 

Advise- 

             Mere bhaiyo apko hamesha ek bat ka dhyan rakhna hai ki apko apne mobile ki setting me jo auto sync ka option hota hai use hamesha enable rakhna hai. Ise enable rakhne se kabhi bhi apka Data delete nhi hoga.

Solution- 

                    Ab apko main jo bhi steps bataunga wo sari steps apko follow karni hain. Ek single step bhi apko miss nhi karni nhi to apka data recover nhi hoga.


Data ko recover karne ke liye apko apne Play store me aa jana hai. Dosto Play Store me ane ke liye is liye bol rha hun kyuki apko yaha apni Email login karni hai. Yahan aapko wahi Email id login karni hai jo pahle login thi. Email login karne ke bad.

Apko apne Mobile ki Settings me aa jana hai. Yahan apko niche jana hai. Yahan apko Additional Setting ka option milega. Aapko Additional setting me jana hai.

Aapko yahan dekhna hai ki Backup & reset ka option kahan pe hai. Backup and reset ke option pe click karege. 

Iske bad apko kya karna hai yaha dekhege to apko Local Backup ka option dikhega. Ab yahan apko ek jaruri bat bta du Backup account ke niche agar apka Email account nhi dikh rha hai to aap apna Data Backup nhi kar payege.

Itna check karne ke bad apko kya karna hai. Local Backups wale option pe click karna hai. Iske bad agar apke mobile me koyi screen Lock lga hai to wo dalne ko kahega agar screen lock nhi laga hai to aage ki step open ho jaegi.

Yahan apko backup ke kuch Details dikh jayegi

Ab aap yahan se jis File ko Backup karna chahte hain Uspe click karna hai. To ab yaha apko 2 option dekhne ko milege 

1. System App

2. App

Aap jiska bhi Backup lena chahte hain usko select kar le. Aap dono ka backup karna chahte hain to dono ko select karle.

Uske bad apko Restore pe click karna hai.

Ab yahan kuch time lagega Processing hone me jaise processing complete hogi. 

Fir apko Finish ka option ayega. To apko finish ke option pe click kar dena hai.

To ab aapke mobile me sara Data Restore ho jayega. Sare application, Photos, videos, contact numbers sara kuch restore ho jayega.

To is tarah se aap apne sabhi Delete kiye Data ko restore kar sakte hain. Is trick ki help se.

Ummid karta hun ye post apke liye helpful huyi hai. Is Post apne dosto ko bhi share kare.

Dosto agar koyi problem ho to mujhe comment me kar ke puch sakte hain.

Thank you.


Post a Comment

0 Comments