Aaj is post me hum bat karege ki aap apne whatsApp data ko WhatsApp ke server se kaise Delete kar sakte hain.
![]() |
Delete data from whatsApp server |
Hello dosto welcome to my world...Main Agaaj aur aaj main apko whatsApp ki new Privacy Policy ke bare me bataunga aur isse Bachna kaise hai ye bhi bataunga.
Dosto jaisa ki aap sabhi ko pata hai ki WhatsApp ne apni new Privacy Policy ko update kiya hai. Isme bataya hai ki agar aap 8th Fabruary tak is privacy policy ko accept nhi karte hain to apka WhatsApp delete ho jayega.
Lekin WhatsApp ne jo 8th Fabruary ka time diya tha usko badha kar starting of the May kar diya agar aap may tk is privacy policy ko accept nhi karte hai to apka WhatsApp delete ho jayega.
WhatsApp ki new Privacy Policy Kya hai:-
Dosto jo WhatsApp ne new privacy policy update ki hai usme kya kya btaya hai main apko short me samjhane ki koshish karta hu. Agar apko detail me janna hai to WhatsApp ki Official Site pe jake detail me padh sakte hain.
Isme likha hai ki ab WhatsApp apka data Facebook ke satha share karega.
Aap kis se bate karte hain?, kya bate karte hain?, aap kya jis product se related bate karoge usi product ki ads apko Facebook pr show hogi.
Basically WhatsApp apka data apne business aur Advertisment ke liye use karega.
Isme ye bhi likha hai ki WhatsApp aapke mobile ki chat bhi read kar sakta hai legally, aapki call sun sakta hai, aapke mobile information aur Data bhi collect karega.
Apki bahut si personal information use karega apne business ko grow karne ke liye.
Suggesion:- ( WhatsApp se apne data ko Facebook ko share hone se kaise bachaye )
Dosto main aapko bataunga ki kaise aap apne data ko Facebook ke sath share hone se bacha sakte hain. Apni personal chat ko kaise leak hone se bacha sakte hain.
Aap apna data pulish hone se rokne ke liye apko apna WhatsApp account delete karna padega. Ab aap soch rage hoge ki agar aap WhatsApp account delete kar dege to apki sari chats bhi delete ho jayegi.
To aap thik soch rahe aapki sari chats delete ho jayegi lekin agar aap apni personal chat ko WhatsApp ke Server se remove karna chahte hain to yahi ek single tarika hai aur koyi rasta nhi hai.
Ji haan dosto agar aap apna WhatsApp account delete kar dete hain to apka Jitni bhi chats hogi ya apke mobile ki jo bhi information hogi, apke Mobile Number ki ko bhi information hogi wo sari information WhatsApp ke server se hamesha ke liye delete ho jayegi.
Important:-
Abhi aap iss post ko skip kar ke mat jao aapko kaise delete karna hai account ye mai apko bataunga agar aap ek bhi step miss kar dege to apka data WhatsApp ke server se Remove nhi hoga. Isliye main apse request karta hu is post ki ek ek step ko samjh lijiye.
Agar aap koyi step miss karte hain to aap data delete nhi kar payege aur fir bad me aap mujhse bolenge ki bhai aapne thik se nhi bataya. Aap sidhi ek bat samjh le ki main apko jo jo steps bata raha hu wo sari steps apko follow karna hai same to same.
Follow these steps:-
Sabse pahle apko apne WhatsApp ko open kar lena hai
![]() |
WhatsApp three dots |
Right corner me Three Dots milege uspe click karege to apko settings ka option milega
![]() |
WhatsApp Settings |
Settings me jana hai yaha aapko account ka option milega
![]() |
Account |
Account me jana hai yahan apko sabse niche ek option milega Delete My Account ka ispe click karege
![]() |
Delete my Account |
Yahan aap niche ki side dekhege to Phone Number enter karne ka option milega yahan apko wahi mobile number enter karna hai jis se apka WhatsApp number bana hai
![]() |
Delete my account |
Uske bad DELETE MY ACCOUNT pe click karna hai
Ab apke screen par ek new enter face ayega yahan aapko whatsApp Delete karne ka ek Reason select karna hoga. Uske 2nd box me reason bata dena hai
![]() |
Select Reason |
Uske bad DELETE MY ACCOUNT pe click kar dena h. Jab aap DELETE MY ACCOUNT pe click karege to apke screen par ek new enter face aa jayega jaise starting me hota hai.
![]() |
Permanently Delete Account |
To is tarah se aap apna Sara Data WHATSAPP KE SERVER SE REMOVE kar sakte hain.
Conclusion:-
Dosto maine apko is post me btaya ki kaise aap apne WhatsApp ki CHATS ka sara data WhatsApp ke server se kaise DELETE kr sakte hain.
Note:- friends agar apko ye post pasand ayi ho to post ko apne dosto ko social media pe bhi share kare. Aur agar apko koyi problem hai to aap mujhe comment me bata sakte hain main aapki help jarur karunga.
Milte hain aapko ek aur aisi hi interesting post ke sath tab tak ke liye good bye take care.
Thank
You.
#whatsappdatadeletefromwhatsAppserver
#whatsApp_privacy_policy
#WhatsApp
0 Comments
If you have any problem let me know