how to find IMEI Number

 IMEI NUMBER KYA HAI AUR YE KAM KAISE KARTA HAI?


What is IMEI Number
IMEI Number dialing code


Dosto aaj is post me hum bat karege IMEI NUMBER kya hai?, mobile me IMEI number ka kya kam hota hai?, IMEI NUMBER kyun hota hai?, Full form Of IMEI number?. In Sare topics pe bat karne wale hain. Aur aaj aap techno agaaz me in Sare topic ke jawab milege. 

Dosto duniya ke sabhi Mobile Phone me ek unique number diya hota hai jise hume IMEI Number ke name se jante hain. IMEI ka full form INTERNATIONAL MOBILE EQUIPMENT IDENTITY (IMEI) number hota hai. Iska use unko identify karne ke liye kiya ja sakta hai. 
Dosto aaj ki ye post isi topic pe hai ki hum kisi bhi mobile phone me IMEI number kaise pata kare? Aur iske sath hum ye bhi janege ki IMEI number kya hai. Dosto Aaj is se related apke Sare Questions ke answer technoagaaz me mil jayege. To agar aap in Sare swalo ke bare me janna chahte hain to is post ko pura dhyan se padhe.


Full Form of IMEI Number, - IMEI Number kya hai, - What is IMEI Number 

Sabse pahle bat karte hain ki IMEI ka full form kya hota hai to dosto iska full form- INTERNATIONAL MOBILE EQUIPMENT IDENTITY hota hai. 
Ab baat karte hain IMEI number kya hai - Agar easy language me bataye to ye ek unique identification / serial number hota hai jo sabhi Mobile Phone me different-different dekhne ko milta hai. IMEI number 15 Digit ka hota hai aur  dual SIM wale Android mobile me dual IMEI number hote hain aur dono hi different-different hote hain. IMEI number ka use basically device ki pehchan karne ke liye kiya jata hai.
IMEI number aapke mobile phone ke back side me sticker me dekhne ko mil jayega ya battery pack ke niche mil jayega. Har mobile me IMEI number alag alag hota hai. Apke mobile ka model number kya hai aur apka mobile kab banaya gya hai iski pehchan karata hai.

IMEI Number kaise Aur Kaha Se Pata Kare?, - How To Find IMEI Number, what is the code to find IMEI Number

Mobile me IMEI Number pata karne ke kayi tarike hote hain agar aap bhi apne mobile ka IMEI number pata karna chahte hain to niche diye gaye Methods ko follow kar ke aap bhi apne mobile ka IMEI Number pata kar sakte hain. 
IMIE Number
IMEI Number


Method 1. Using Phone Dialer 

Apne mobile me IMEI Number pata karne ka universal method aur shortcut tarika hai Mobile dial pad ka dosto aap apne dialer pad me ek secret code dial karege to apke mobile ka IMEI Number apke screen par pop message me show ho jayega. Ye code Apple, Android phone ya kisi bhi dusre phone me bhi work karega.

Apko apne mobile ke dialer me jana hai yaha aapko *#06# type kar ke Dial kar dena hai. Ab aapke samne ek pop up message me IMEI number show hoga iss IMEI Number ko aap kahi bhi note kar sakte hain.

Method 2. In Mobile Settings 

Aap apne mobile ki settings me jake bhi apne mobile ka IMEI Number pata kar sakte hain.
Settings> about phone> status

Method 3. For iphone mobile 

Apko apne iphone mobile IMEI pata karne ke liye Settings> General> About ab aap scroll down kare apko yahan IMEI list list mil jayegi ise aap kahi note kar sakte hain.

Agar Aapka Mobile Kho Gya Hai To Uska IMEI Number Kaise Nikal Sakte hain


Agar apka Android mobile phone ya iPhone chori ho gya hai aur iska apke pass IMEI Number bhi nhi hai to iska IMEI Number pata karne ke liye Agar apke pas wo box rakha hai jis box me apka mobile pack tha jan apne new mobile liya tha usi box me upr jo slip lagi hoti hai usme apko IMEI Number mil jayega aur is IMEI Number se aap apna mobile track bhi kara sakte hain.

Mobile me IMEI Number kyun diya hota hai?, - Iska kya kam hota hai? - why IMEI Number in mobile 

Friends IMEI Number mobile me isliye hota hai ki isse mobile ki pehchan ki jati hai aur dusra main reason ye bhi hota hai ki agar aapka mobile chori ho jata hai to aap apne mobile track kar sakte hain aur mobile wapas le sakte hain ya fir IMEI Number se aap apne mobile ko block kar sakte hain is se apki aur apke personal data ki safety rahti hai is se jisne bhi apka mobile churaya hai wo apke mobile dusri SIM dalega to SIM kam nhi karegi apke mobile me. 
IMEI Number pta kare
IMEI



IMEI Number ko asaani se change karna possible nhi hota hai isliye koyi apke mobile ka IMEI Number change nhi kar sakta.

IMEI Ke Kya Fayde Hain - what is the advantage of IMEI Number 


★ iska main fayda ye hai ki agar apka mobile chori ho jata hai to aap IMEI Number ki help se apne mobile track kar sakte ho.
★ Agar apne new mobile liya hai aur agar ye warrenty hai aur isme koyi problem ho jati hai aur problem solve karne ke liye jate hai to company IMEI Number se hi yah confirm karti hai ki ye mobile wahi hai.

Conclusion 

Dosto aaj apne technoagaaz me ye jana ki what is the IMEI number, IMEI Number kya hai, apke mobile me IMEI Number kyun hota hai, IMEI Number ka kya hai iska kya kam hota hai. Ummid karta hu ye post apke liye helpful rhi hai.
Is post se related koyi question hai to aap mujhe comment box me puch sakte hain.


Post a Comment

0 Comments