How to solve Mobile Hanging Problem || mobile Hang hota hai to kya kare || Mobile hang

Kya Apka Mobile Phone Hang hota hai? - apne mobile ki storage ko kaise khali karte hai? - How to solve mobile hanging problem 

Solve mobile hanging problem
Solve mobile hanging problem 


Aaj aapke Sare sawalo ke jawab technoagaaz me mil jayege. Aaj hum apko batayege ki kaise aap apne mobile ko hang hone se bacha sake hain, mobile hanging problem ko solve kaise kare. Aapko is article ko starting se lekar end tak dhayan se padhna hai aur jo bhi steps batayi jaye wo sari steps ko follow karna.

Kya Aap apne mobile ki hanging problem se pareshan ho chuke to ab apno tension lene ki jarurat nhi hai.

Aaj hum apko experts ki batayi gayi killer tips ke bare me bataunga iske sath sath mobile hanging settings bhi bataunga.

Taki ab apko google par dobara ye search karne ki jarurat na pade ki - mobile hanging problem ko kaise solve kare, 
Aap jis problem ka solution dhud rahe hai wo apko techno agaaz me mobile hang solution aaj mil jayega. Fir apka mobile hang problem hamesha ke liye thik ho jaega.

Mobile Hanging Problem Solution - Mobile hanging Problem settings 


Jab mobile bar bar hang hone lagta hai tab us waqt hum sochte hai ki mobile hang ho rha hai kya kare, || jab mobile hang ho to us waqt kya karna chahiye.
Aap ekdam sahi post pe aye ho kyunki aaj apki problem ka 100% solution technoagaaz ki is post mil jayega.
Agar apka mobile Hang hota hai to sabse pahle apko Root Cause ko samajhna chahiye.

        • Akhir apka mobile hang kyun hota hai.
        • Mobile hang hone ka reason kya hain.
Agar aap ye sab samjh lete hain to apko dobara kahi bhi search nhi karna padega phone hang hone se kaise bachaye, mobile bahut jyada hang hota hai to kya kare.


Mobile Hang Hone Ke Kya Kya Reasons Hai - what is the main reason of mobile hanging 

Agar apka mobile hang hota hai to sabse pahle apko yah janne ki kosish karni chahiye ki akhir apka mobile kyun hang karne laga apne aisa kya kiya jo apka mobile hang hone laga.
Apko apne mobile me kuch chizo ko jarur check karna chahiye mostly isi se apka phone hang hone lagta hai.

RAM ka kam hona
★ mobile me Havy Application install karna
Internal Storage ka full hona
Catch Data ko time to time clear na karna 
Faltu apps ko mobile rakhna 
Mobile Heat hone se
Mobile ko charging pe lga kar use karna 

★ Mobile ko Restart Na karna 
Unknown Source se Apps and Games Download karna etc.

Yahi bahut se reasons hote hai jinse apka smart phone hang hone lagta hai aur ap log dhyan nhi dete hai
Agar apka mobile new hai ya fir old hai to apko ye sb mistakes apko nhi karni chahiye mostly agar apka mobile old hai.

Background me hone wali sari activity ko apko rokna hoga. Apko apne mobile Sare functions ko background se stop karna hoga.

Koyi bat nhi agar apka mobile bahut hang ho raha hai aap techno agaaz me killer tips and tricks sikh rahe mobile phone ko hang hone se rokne ke liye.

Mobile Hang problem Tips And Tricks

Jab hum koyi important kam kar rahe hote hain ya fir kisi ko urgent call karni padti hai usi time humara mobile hang hone lagta hai dil karta hai is mobile ko tod de. Lekin lekin ruko kya apko pata hai ki apka old mobile bhi ab new mobile ki tarah smoothly and fast chalega bilkul new ki tarah working kar sakta hai.
Itna purana hone ke bad bhi new ki tarah fast chalega.
Lekin kya Aisa possible hai ji ha friends aisa possible hai apko jayada kuch karne ki jarurat nhi hai bas mobile ki settings ko manage karna hai.
Aaj se, main apko jo tarike bata rha hu wo apko hamesha dhayan me rakhna hai agar aap ye sare tarike dhayan me rakh ke mobile chalate hain to apka mobile hamesha new ki tarah fast aur smoothly chalega. Chalo un Sare tari koi ko jaan lete hain.

Free Up Storage Space - Unnecessary Files Delete

Ye bahut common sir bat hai ki aaj hum mobile kharid late hain aur dusre din hi usme videos, movies, images se hi mobile ki storage ko full karwa lete hain fir kahte hain ki mobile hang hone laga to friends aapko mobile ki storage ko full nahi karna hai. Agar aap usme space nhi rakhege to apke mobile me jo applications running me hote hai unko data kaha se milega agar apka storage full hi hoga. Mobile hang hone ka ek ye bhi main reason hota hai ki aap bilkul bhi mobile me space nhi rakhte hain aur fir apke mobile jo applications running me hote hain, space na hone ki wajah se wo thik se work nhi kar pate hain isiliye apka mobile hang hone lagta hai.

Apke mobile ko proper tarike se chalane ke liye min 20%-30% tak storage ko khali rakhna hi chahiye jis se apka mobile sahi se kam kar sake is se aapka mobile hang bhi nhi hoga aur apka mobile Heat hone se bhi bacha rahega.

Force Stop Unwanted Applications

Friends aapke mobile me bahut sare applications hote hain lekin ab aisa to hai nhi ki apke mobile me jitne bhi applications hai woh Sare application aap use karte hain. Mera kahne ka matlab hai jo applications aap use nhi karte hain un applications ko Force Stop kar dena  chahiye. Force stop karne se kya fayda hota hai friends agar aap kisi application ko force stop kar dete hain to woh application background me running nhi karega isse apke mobile ki Battery bhi bachegi aur apka mobile Hang hone se bhi bachega. Kyunki kisi bhi application ko running me rahne ke liye battery (power) aur RAM ki jarurat padti hai isliye apka mobile hang hota hai.

Kisi bhi application ko FORCE STOP karne ke liye 

Mobile Settings> Applications> Particular App > Force stop



Note:- Particular ka matlab aap jis application ko Force stop karna chahte hain. Ek bat aur batata chalu har mobile me Particular option alag alag name se bhi hota hai isliye apko ek option har mobile me jayega Apps ka matlab apko settings me jake Sare applications milte hai wahi jana hai.

Move Heavy Apps to SD Card


Agar Aap mobile me heavy applications use karte hain to apne mobile me km se km heavy apps rakhe jaha tak ho sake to Rakhe hi mt agar Aap Heavy Apps rakhte hain to unko SD Card me move kar de. Is se apka mobile hang hone band ho jayega aur fast bhi chalne lagega.

Agar aap chahte hain ki apka mobile hang na ho ya apka mobile heat na ho to Facebook, Instagram jaise jyada MB wale applications ko SD Card me hi rakhe. Aisa karne se aapke mobile ki Internal Storage Badh Jayegi aur apka mobile achcha Performence karega.
Hang problem solution
Mobile hang


Remove Apps from Recent App - Avoid Multitasking 


Kya hota hai jab aap kisi application ko use karte hain aur usko Recent Tab me hi chhod dete hain usko recent tab se clear kar dena chahiye is se apke mobile ki speed badhegi. apka mobile fast kam karega.
Agar apke mobile ki RAM aur INTERNAL STORAGE kam hai to apko is bat ka khas khyal rkhna chahiye. Ek bar me Sirf single particular app ka hi use kare.

Uninstall Unusual Applications 

Apke mobile me bahut se aise faltu apps hote hain jinko aap use hi nhi karte hain aur fir bhi woh apke mobile me hote hain, apke mobile ki RAM & STORAGE ko full kiye rahte hain. Fiends aise unusual app ko apne mobile se uninstall kar do is se apke mobile ka processor better kam karega.
Kisi bhi application ko proper tarike se kaise uninstall karna hai ye bhi jan lijiye 

Settings> applications> manage apps> select particular app> clear Data> Uninstall. Done 

Note:- clear Data karne se apke mobile me us application ka jo bhi catch data aur unnecessary data hoga wo bhi apke mobile se delete ho jayega.


Avoid download application from third-party store/website

Kabhi kabhi aap kahi se bhi apne mobile me application ko download kar lete ho aur apne mobile me install kar lete hain isse apke mobile ki privacy ko khatra hota hai aur apke mobile me virus ane ka bhi khatra hota hai.
Aapko jo bhi application ko download karna hai iske liye sirf Google Play Store ka hi use kare.

Restart Your Mobile 

Friends aapko apne mobile ko kam se kam din me ek bar jarur Re-start karna chahiye is se apke mobile ki speed badhti hai. Is se apke hardware aur processor pe effect padta hai kyunki apke mobile Sare applications background me run karte rahte hai chahe ap mobile use kare ya na use kare fir bhi apke mobile apps background me run karte hain. Agar aap mobile ko din me ek bar ya fir 24-48 hours me ek bar 2 minutes switch Off /Reboot kar dege to apka mobile hang nhi hoga.


Don't use if you have any Booster/Anty Virus remover - clean Master

Friends kya hota hai apne mobile ki speed ko increase karne ke liye apne mobile third party applications ko download kar lete hain. Actually me is se aapke mobile ki speed increase nhi hoti hai balki apka mobile aur bhi jyada hang hone lagta hai. Apke mobile ko kisi bhi Booster/ cleaner/ virus cleaner ki jarurat nhi hoti hai.

Time to Time Clear App catch data

Aapke mobile me jitne bhi online application use hone wale hai ya jitne apps aapke mobile me hai wo hamesha catch store karte rahte hain catch file ko mobile me store karte rahte hain is se aapke mobile ki storage bhi full hoti hai aur apka mobile hang bhi hone lagta hai isliye hamesha app catch ko clear karte rhe.

Catch data ko clear karne ke liye 

Settings> Applications> Apps> App Storage> Clear catch

Mobile Ke Software ko time to time Update Rakhna 

Mobile hang karta hai to kya kre
Mobile hang problem


Friends Sare Brand Ke Mobiles time to time software updates dete rahte hain. Aur apko apne mobile ke software ko update karte rahna chahie ye apke mobile ke liye bahut jaruri hota hai kyunki apke mobile me jo bhi bug hota hai wo is se khatam ho jata hai.
Apke mobile bahut se features update kiye jate hain software ke threw jaise - 
          • Security Patch Updates

          • Bug Fixes

          • User Interface Optimization

          • Apps and Games Compatibility

          • Performance Improvement

Ye sari chize apko is updates me improve kar ke provide ki jati hain. Is se apke mobile ki speed bhi badh jati hai isliye aapko settings me jake software ke updates ko to time to time check karna chahiye.

Applications Update


Agar apko apne mobile ko hang hone se bachana hai to Outdated apps ko update karte rahna chahiye is se apka mobile jyada fast chalega.

Kyunki out dated apps mobile ke software & Hardware ke sath ache se connect aur compatible nhi ho pate hain. Isi wajah se apps ki loading hone ki aur kam karne ki speed slow ho jati hai.

Conclusion 

Friends is post me maine apko bataya ki kaise aap apne mobile phone ko hang hone se bacha sakte hain, agar apka mobile hang hota hai tab kya karna chahiye, mobile hanging problem se kaise bachna hai, how to solve mobile hanging problem, mobile ki speed kaise badhaye, mobile hang kyun hota hai. In Sare swalo ka jwab maine apko is post me bataya hai. Ummid karta hu ye post apke liye helpful rahi hai.
Is post se related koyi swal hai to aap mujhse comment me puch sakte hain.

Post a Comment

0 Comments